Thursday 5 March 2015

Bura Naa Mano Holi Hai

Phagun ki matwari sham me,
Nikle hain nandlala meri gaon ki galiyon me,
Rongon me magan hai,
Gopiyon ke angan me,
Hathon me gullal liye tang kare sabko,
Unke phatkar ko bas ek hi jawab hai,
"Bura naa mano holi hai"....


Phagun ki halki si thandi shaam me,
Halki halki si sabnam ke barsat me,
Hum bhi nikle the doston ke saath,
Holi manane apnon ke saath,
Hari pili gullal se rangne sabko,
Labon pe bas ek hi naara liye,
"Bura na mano holi hai"....


Bhara hai rang sabke hathon me,
Magan hai sab ek alag sa pyaar me,
Rang lagate waqt na koi umar dekha,
Na koi riston ki pawandiyon ko socha,
Hari tau mujhe lagaye,maine lagaya sabko,
Ram chacha gussa kiye to maine bola,
"Bura na mano holi hai".....


Ek alag sa junun hai sabke dilon me,
Bhai kehke gale lagaya sabko iss holi me,
Ajnabi bane apne is phagun ke rang se,
Dushmann bhi bane dost ek chutki pili rang se,
Ram mara rahim ko,rahim mara sabko,
Karim ne gussa kiya to maine bola,
"Bura na mano holi hai".......

Aayithi unki yaad kalki tanha raat me,
Isiliye aaj mai aaya hun unki gali me,
Lagaya hun rang uski sakhiyon ko badi pyaar se,
Aur befikar hun unki gali ke kutton se,
Maine diya rang saala ko,usne lagaya sabko,
Jab gusse me didi uski bahar aayi,
Tab rang lagate pyaar se bola,
"Bura na mano holi hai".......


2 comments: